Pakar aur pukaar
In do lafzon ke beech ka farq?
Ek Alif.
Yeh mere liye aasan nahin.
Pakar:
Rooh ke band kamre
Jeena aahon ke darmiyan
Chhupna, chhupaana, chhup jaana…
Zauq-e-tishnagi — hamesha, hamesha, hamesha
Nazdik aana
Pukaar:
Sawaal poochna, beshumaar sawaal…
Har chiz mukhtalif, magar
Lamhon ka raabta
Kashmakash
Pakar:
Khule haath, khaali haath…
Apne dil ki dehleez par sona
Tafreeq
Khud se anjan rehna
Pukaar:
Iss mitti mein hogi humari mulaqat
And backwards we’ll go to khaak.
Hadd ab anhad ho jaegi
Aur khaak dur tak paunch jaegi
I will become a Judas tree in Bursa
You a beetroot plant in Ooty!
Sirf mitti aur mitti kaafi
Pukaar matlab
main yaahan khadi hoon, tum wahaan khade ho
main nahin hiloongi, tum nahin hiloge
Na main apne aap ko chhota karungi
Na tum apne aap ko chhota karoge
Here is an invite
Give me your hand
Mine is open