Hum Se ہم Tak

Minhaj Khan · · Nazm

Hum doob gaye Us ki baaton mein Nazar lagi Un ke haathon se Jab jaaga main Haal jaana ke Ab khatam hue Wo iraade jo the Phir shuruaat Sachai ko pehchanne ki Aur hum doobe Is baar Dil ke raazon Mein Ab samajh se mulaqat Hui us andhere mein Jis ke daaman se Chhupi roshni mili Magar paar karna Hi aag se guzarna Ye sarhad Ye sachai Jeene ka maqsad bana Us hashiye tak pohonchne ke liye Hum juda hue Apne hi nafs se khafa hue Hikmat ke noor se roshan hue Jo raaz the Us andhere mein Un se waqif hue Aur jab nikle hum To jaana ke ab Yeh raasta hai hamare liye Jis raste mein hum ne jaane hamein